
Kyun piyar ussi par hi aata hai,Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,Tujh bin rah na paayein hum.
Kyun baar baar woh satata hai -Kuwaabon main aakar rulata hai?Bhulanaa us ko chahein hum,Par kis tarah bhulaayein hum?
Woh mann main har dum rahta hai,Dharkan ki tarah dharkta hai.Hain issi ehsaas se zindaa hum,Hain ek-duje ke dil o jaan hum.
Ek duje ke dil main rahte hain -Kya pyaar issi ko kahte hain?
Kitnay Sajaye They Sapney Pyar Key,Kia Khabar Thi Zindagi Hay aik Raat Kee...
----------Meri Jaan (SP)
0 comments:
Post a Comment